Saturday 16 June 2012

Mujhe tum nazar se gira to rahe ho - Mehdi Hassan

"Great Gazal By Legendary Singer"


MuJhe tum nazar se gira to rahe ho
muJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
na jaane muJhe kyoon yakiN ho chala hai
mere pyaar ko tum mitaa na sakoge..

Meri yaad hogi jidhar jaaoge tum
kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
tadapta muJhe har taraf paaoge tum
shama jo jalaayi hai meri wafa ne 
bujhaana bhi chaaho bujha na sakoge..

Kabhi naam baatoN meiN aaya jo mera
to bechain ho hoke dil thaam loge
to bechain ho hoke dil thaam loge
nigahon mein chaayega gham ka andhera
kisi ne jo poocha sabab-a-subooN ka
bataana bhi chaaho bata na sakoge..

Yun Jindagi ki raah me - Mehdi Hassan

One My Favorite Gazal Ever.




Yun Jindagi ki raah me takra gaya koi
ik roshni andheroN mein bikhra gaya koi

wo haadsa wo pehli mulaakat kyaa kahoon
itni ajab thi soorat haalat kya kahoon
wo kehar wo gazab wo jafa muJko yaad hai
wo uski berukhi ki adaa muJhko yaad hai
mittha nahin hai zehan pe yoon chaa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

pehle muJhe wo dekhke barham si ho gayee yoon
fir apne hi haseeN khayaloN meiN kho gayee
bechargi pe meri usse reham aa gaya
shaayad mere taDapne ka andaaz bhaa gaya
saansoN se bhi kareeb mere aa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

yoon usne pyaar se meri baahOn ko choo liya
manzil ne jaise shaakh ke raahon ko choo liya
ik pal meiN dil pe kaise qayamt guzar gayi
rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi
zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye
benaam aarzoo ki lazzat na poochiye
ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya
ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya
manzil ka raasta muJhe dikhla gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

Rafta Rafta Wo Meri - Mehdi Hassan

Rafta Rafta wo meri hasti ka saamaaN ho gaye,
pehle jaaN fir jaanejaa fir jaane-jaana ho gaye...

Din badin badhti gayi is husn ki raanayeeyaan,
phele gul fir gul badan fir gul badaama ho gaye..

Pap to nazdeeK se nazdeek tar aate gaye,
pehle dil fir dilruba fir dil ke mehmaaN ho gaye...

Pyaar jab had se baDha saare takalluf mit gaye,
aap se fir tum huye fir tu ka unwaaN ho gaye...





Jindagi me to sabhi pyaar kiya karte hain - Mehdi Hassan

Jindagi me to sabhi pyaar kiya karte haiN
main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahunga

tu mila hai to ehsaas hua hai muJhko
ye meri umR mohabbat ke liye thoDi hai
ik zara saagame daura ka bhi haq hai jispar
maine wo saaNs bhi tere liye rakh chhodi hai
tuJhpe ho jaaoonga qurbaan tuJhe chahunga
main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahunga...

apne jazbaat meiN nagmaat rachaane ke liye
maine dhaDkan ki tarah dil meiN basaya hai tuJhe
main tasavoor bhi judaai ka bhala kaise karuN
maine kimsat ki lakiroN se churaaya hai tuJhe
pyaar ka ban ke nigehbaan tuJhe chahuga
main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahunga..